Aqwal e Zareen or Golden Words are written by people who have wisdom or sapience. Wise people write or say Aqwal e Zareen or Golden Words by using their highest degree knowledge and experience. Aqwal e Zareen or Golden impressive Words inspire us and help us to live a better life. If someone wants to spend a meaningful life, should read and follow Aqwal e Zareen or Golden informative Words. Here I’m sharing few Aqwal e Zareen or Golden Words in Hindi or Urdu with images. Let’s review these impressive, informative and heart-touching Aqwal e Zareen.
Aqwal e Zareen or Golden Words in Hindi or Urdu with images
Zindagi ka sab se bora lamha woh hai, jab koi apna aapko itna dukh de keh ankhain bhar ayain. Aur phir wohi aap se pochay keh kya hua? Aur aapko muskura ker kehna parey, Kuch nahi.
Insaan bhi ajeeb hai. Dua ke waqat samjhta hai keh Allah bohat kareeb hai aur gunnah keh waqat samjhta hai keh Allah bohat door hai.
Zindagi ki asal khoobsurti yeh nahi keh aap kitney khush hain. Balkeh asal khoobsurti tou yeh hai keh dosray aap se kitna khush hain.
Zindagi ko maut kay hawaly kerne se pahly koi aysa kaam ker jao keh zindagi bhi ise humesha yaad rakhey.
Behtreen insaan amal se pehchana jata hai. Achi batein tou boray log bhi kiya kerte hain.
Achy logo’n ki ik khoobi yeh bhi hoti hai keh onhain yaad nahi rakhna parta. Balkeh woh yaad rah jatay hain.
Ansoo muskurahat se zyada qeemti hotay hain. Kyun keh muskurahat tou her kisi kay liye hoti hai. Magr ansoo sirf onn kay liye hotay hain jinko hum khona nahi chahty.
Bura waqt tou guzer he jata hai. Aur sab kuch theek ho jata hai. Tou bas tumharay Parwerdigaar ko tumhara zarf azmana hota hai.
Tumhara nafas bohat qeemti hai. Isse Jannat se kam kisi qeemat peh mat khona.
Merty dam tak zinda rehna he tumhari asal jeet ko zahir kerta hai.