Kahani Pakistan ki or the story of Pakistan is an Urdu poetry. It shows a trailer about how Pakistan came into being. All the struggles what people made to get this country. What Pakistan has been facing after came into being till yet. It’s heart touching Urdu shairy that also encourages youngsters.
It tells teen girls & boys should never lose hope. As this country Pakistan is in badly need of them. Here’s the images that depict the history of Pakistan.
Story of Pakistan
Kabil e Aitraz thi…Haalat insaan ki
Quaid ne sambhal li phir na’o muslman ki
Iqbal ne dekha ik khuwaab tha
Tabeer hui os khuwaab ki phir
De ker qurbani lakhon jan ki
Janoon tha or ishq tha
Iss dharti ki bunyadon mein
Tab mili pehchan thi
Iss dais ko Pakistan ki
Phir chiragh bujh gaye waqaar ke
Muslims sadaqat se hatt gaye
Tareekh ka safar rukk gya
Tehzeeb kay pa’on kat gaye
Mehnat, azmat, yaqeen, amal peham
Yeh Quaid ka fermaana thaa..
Qader nai ki iss qaum ne
Quaid kay fermaan ki
Jalandhary ne likha tha
Yeh Pak ser zameen hai
Aaj yahan sulagti hai
Lassh har muslman ki
Abdul Qadeer ki soch ne
Askari khud kifalat di
Larzay perbatt jo iss dharti ke
Kat gaye hath dushman nagri ke
Ser utha kay jeeti thi
Ye dharti baqi deso mein
Phir aaj jhuki hai kyon
Gerdan har naujwan ki
Yahan jiyaaly baasi basty thy
Haq pe jo merty thy, ktaty thy
Phir aaj kyon bikk gai
Rooh adm e insaan ki
Shehar jaltay hein…tootaty hein
Log merty hein…bomb photaty hein
Abb koi sunta kyon nahi
Pukar hr dard mandaan ki
Nai kuch bigra hy abhi k qadm brhao
Barho aagy…surriya tak le jao na’o
Dhondh lo phir wohi aqabi rooh
Iqbal kay jawaan ki…
Laro or dut youn jao
Haq o batil k samnay
Phir dekho kahkashan chuay gi
Yeh dharti Pakistani ki…
Mayoos na ho aye insaan
Ke subah e nau bhi aye gi
Sub kuch hai iss dais mein
Yeh Allah ka ehsaan hai
Bas apna aap sudhaar lo
Har soch badal jaye gi…
Naye chashmy photein ge
Mohabbat or ulfat ke…
Amber per chaaye gi
Kiren naye mehtab ki
Phir se likhi jaye gi “Tareekh”
Aik “Naye Pakistan” ki….