Love poetry is a way to describe heart feelings to someone special. Here I’m sharing two lines best Urdu love poetry with images for love couples. Share these romantic poetry images in Urdu/Hindi on social media with their love birds and show them what you feel for them.
Two Lines Best Love Poetry
Download these cute images of love poetry for free.
Teri kahani sari duniya
Mera fasana bas ik tum
Tum loot lete ho dharkanein mere dil ki
Jab nazro’n se youn kalaam kerte ho
Ada hai, khuwab hai, taskeen hai, tamasha hai
Meri aankho’n mein ik shakhs be-tahasha hai
Hum ne bas ik teri muskurahat ko aziz rakha hai
Tum kya jano tumhein dil ke kitne qareeb rakha hai
Mohabbat ki raho’n mein tera saath chaiye
Tanha hai mera hath mujhe tera hath chaiye
Youn na muskuraya kro, labo’n ki shaan jati hai
Tumharay hont hilty hain, humari jaan jati hai
Yunhi besabab raat ko na nikla kro
Tum tou mere chaand ho samjha kro
Aaj se yeh zindagi tumhari hai
Iss zindagi ka tum khyaal rakhna
Yeh jo tum nazaro’n se dil ko halal kerti ho
Kerti tou zulam ho lekin kamaal kerti ho
Suno! Tum yeh dehaan rakhna
Humari chahto’n ka maan rakhna
Log pochtey hein meri khushiyo’n ka raaz
Ejazat ho tou aap ka naam bta doon?
Pal pal mujhse larti ho
Phir bhi achi lagti ho
Tujhe roz dekho’n qareeb se
Mere shauq bhi hein ajeeb se
Woh ishq mein aysa kamaal rakhty hein
Keh berukhi mein bhi mera khyaal rakhty hein
Mer jao’n gi hazroor khud se na dur kijiye
Mujrim hon paas rakh ke mujhe saza dijiye
Kis tarah ab ayega qarar mujhe
Osny dekha hai baar baar mujhe
Tere gaal pe jo kaala sa til hai
Wahin atka hua mera dil hai
Ek baat kaho’n kya ijazat hai
Tume tang kerna meri adat hai
Tere sung hasna main………Tere sung hee rona
Tujh mein jeena main………Tujh mein hee khona
Tum jab jab mujh se larte ho
Mujhe aur bhi apne lagty ho
Tum socho’n ki…aakhri hadd ho jaise
Soch jati hee nahi…..tum se aagy
Khud ko tum se jorr diya
Baqi sab Rab pe chorr diya
Woh nazro’n he nazro’n mein sawalaat ki duniya
Woh ankho’n he ankho’n mein jawabaat ka aalam
Pheekay hain sare naatay jahan ke
Tere sath rishta gehra ban gya hai
Tum kya jaano mere iraaday
Le jao’n gi saansein chura ke
Tum kya jaano mere iraaday
Le jao’n ga saansein chura ke
Tum zaroorat nahi
Tum zaroori ho…
Meri saada sii muskurahat mein
Teri chahat ke raang boltay hain