Sometimes images speak louder than words. They describe all feelings and emotions in silent language. Here I’m sharing a few images with ‘Urdu Sad Poetry‘. These images speak loudly about the pain of ‘Broken Hearts‘. Let’s review Hindi Sad Shayari with Broken Heart Images.
Urdu Sad Poetry or Hindi Sad Shayari
Here are few images of girls with broken hearts and tears in eyes. These images describe how cruel the persons are who used to play with feelings and emotions.
Mujhe koi na perh paye aysi he
Posheeda si ik kahani hon main
Os ne kaha, bhool jao mujhe
Main ne bhi keh diya, kon ho tum?
Kaise bata don onhain keh boht yaad aaty ho
Kahan chup ke baithy ho zra chehra to dikha do
Main naazuk sii….Kaanch ki ik guriyaa
Jab teri yaad se larti hon to toot jati hon
Bohat mazboot thy hum mager
Wo shaks jee bhar ke tor gya humain
Ik kitaab ki tarah he hain hum bhi
Alfazo’n se bharpoor, Mager khamosh
Kitna khoobsurat sa wo pal tha
Per kya kero’n wo mera kal tha
Kisi ke sath pyaar se mazaak zaroor kerna
Mager kabhi kisi ke sath mazak se pyar na kerna
Aaj itna tanha mehsoos kiya hai hum ne khud ko
Keh jaise log humain dafna ke chor gaye hon
Akser apny aap se hum
Teri shikayat kerty hain
Woh mehsoos kere mujhe apni har dharkan ke sath
Iss ke siwa main ne or kuch chaha bhi nahi
Saanso’n mein bhi shamil ho….Lahu mein bhi rawaa’n ho
Lekin tum mere hatho’n ki……Lakiro’n mein kahan ho
Tujhe kis trah main mitao’n apne dil se….?
Tu tou saji hai mere labo’n pe ik dua ki trah
Meri khamoshiya’n ehsaas thi
Jo tume mehsoos na hui kabhi
Meri khamoshiya’n ehsaas thi
Jo tume mehsoos na hui kabhi
Hai aik jaisa muqadar, mera or os chand ka
Wo taro’n mein tanha or main yaro’n mein tanha
Hai aik jaisa muqadar, mera or os chand ka
Wo taro’n mein tanha or main yaro’n mein tanha
Mizaj-e-duniya se jun jun shanasa ho rahi hon
Main tanha, or tanha, or tanha sii ho rahi hon
Mizaj-e-duniya se jun jun shanasa ho raha hon
Main tanha, or tanha, or tanha sa ho raha hon
Teri mushkil na berhao’n gi, main chali jao’n gi
Ashk ankho’n mein chupao’n gi or main chali jao’n gi
Teri mushkil na berhao’n ga, main chala jao’n ga
Ashk ankho’n mein chupao’n ga or main chala jao’n ga
Dilo’n se kab nikalty hein, waqat jin ke sath guzara ho
Bhool jana, bhula dena, sirf ik weham hota hai
Dilo’n se kab nikalty hein, waqat jin ke sath guzara ho
Bhool jana, bhula dena, sirf ik weham hota hai
Zindagi tujh per bohat gor kiya main ne
Tu rangeen khyalo’n ke siwa kuch bhi nahi
Zindagi tujh per bohat gor kiya main ne
Tu rangeen khyalo’n ke siwa kuch bhi nahi
Tujhe kis trah main mitao’n apne dil se….?
Tu tou saji hai mere labo’n pe ik dua ki trah
Tu tou mere paas nahi hai lekin…
Teri yadein mere aas paas rehti hein
Tu tou mere paas nahi hai lekin…
Teri yadein mere aas paas rehti hein
Samjh sako tou mere lafzo’n ko samjhna seekho
Hum apne jazbat lafzo’n mein chupaya kerte hein
Samjh sako tou mere lafzo’n ko samjhna seekho
Hum apne jazbat lafzo’n mein chupaya kerte hein
Apne bhi paish aye hum se ajnabi
Waqat ki sazish koi samjha he nahi
Apne bhi paish aye hum se ajnabi
Waqat ki sazish koi samjha he nahi
Thi kisi se mohabbat lekin, hum izhaar ka moqa gawa baithy
Ro ro ke jeetay rehay hum, or wo mohtarma zaher kha baithy
Thi kisi se mohabbat lekin, hum izhaar ka moqa gawa baithy
Ro ro ke jeetay rehay hum, or wo sahib zaher kha baithy
Wo hum se pannah chahtay hain
Jinhain hum pepannah chahtay hain
Ye jo ahem hoti hain
Bari bereham hoti hain
Ye jo ahem hotay hain
Bare bereham hotay hain
Wo hum se pannah chahtay hain
Jinhain hum pepannah chahtay hain
You may also like;
Sad Poetry or Shayari in Urdu/Hindi